maqtal-e-jaan se ki zindan se ki ghar se nikle

maqtal-e-jaan se ki zindan se ki ghar se nikle
hum to khushbu ki tarah nikle jidhar se nikle

gar qayamat ye nahin hai to qayamat kya hai
shahr jalta raha aur log na ghar se nikle

jaane wo kaun si manzil thi mohabbat ki jahan
mere aansu bhi tere dida-e-tar se nikle

dar-ba-dari ka hamein tana na de ai chashm-e-ghazal
dekh wo khwab ki jis ke liye ghar se nikle

mera rahzan hua kya kya na pasheman ki jab
is ke name mere asbab-e-safar se nikle

bar-sar-e-dosh rahe ya sar-e-neza ya-rab
haq-parasti ka na sauda kabhi sar se nikle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close