maqtal se mera kasa-e-sar kaun le gaya

maqtal se mera kasa-e-sar kaun le gaya
us tak ye dil-kharash khabar kaun le gaya

chehre pe gard-e-rah bhi baqi nahin rahi
mujh se mera subut-e-safar kaun le gaya

ras aa chali thi dil ki faza-e-junun-e-shauq
bahka ke mujh ko dasht se ghar kaun le gaya

be-laus dosti ke zamane kahan gae
sarmaya-e-khulus-e-bashar kaun le gaya

ye dekhne ki koi zarurat nahin rahi
kis ka hunar tha dad-e-hunar kaun le gaya

ghar se nikal pade hain to ab kya ye dekhna
raste se saya-dar shajar kaun le gaya

dariya wahi hai us ki rawani wahi magar
ru-posh tha jo tah mein guhar kaun le gaya

aamal apne dekh ke ye tajziya bhi kar
'nazir' teri dua se asar kaun le gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close