mar bhi jaun to kahan log bhula hi denge

mar bhi jaun to kahan log bhula hi denge
lafz mere mere hone ki gawahi denge

log tharra gae jis waqt munadi aai
aaj paigham naya zill-e-ilahi denge

jhonke kuchh aaise thapakte hain gulon ke rukhsar
jaise is bar to pat-jhad se bacha hi denge

hum wo shab-zad ki suraj ki inayat mein bhi
apne bachchon ko faqat kor-nigahi denge

aastin sanpon ki pahnenge gale mein mala
ahl-e-kufa ko nai shahr-panahi denge

shahr ki chabiyan aada ke hawale kar ke
tohfatan phir unhen maqtul sipahi denge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close