marhala tai koi be-minnat-e-jada bhi to ho

marhala tai koi be-minnat-e-jada bhi to ho
gham badhe bhi to sahi dard ziyaada bhi to ho

aisi mushkil to nahin dasht-e-wafa ki taskhir
sar mein sauda bhi to ho dil mein irada bhi to ho

zehn ka mashwara-e-tark-e-talab bhi bar-haq
zehn ki baat qubul-e-dil-e-sada bhi to ho

kahin baadal kahin suraj kahin saya kahin dhup
mere mabud tera koi labaada bhi to ho

pyar mein kam to nahin kam-nigahi bhi us ki
han tunak-zarfi-e-ehsas kushada bhi to ho

aashiqi sarmad-o-mansur se kuchh khas nahin
mast lekin koi be-zahmat-e-baada bhi to ho

zarf-e-iza-talabi gham bhi parakh len 'gauhar'
us se ek roz na milne ka irada bhi to ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close