marhale zist ke dushwar abhi ho jaen

marhale zist ke dushwar abhi ho jaen
taki hum jine ko tayyar abhi ho jaen

ye jo kuchh log mere chaar-taraf hain har-waqt
yar ho jaen ki aghyar abhi ho jaen

jis ki tabir hai ek khwab mein chalte rahna
kyun na us khwab se bedar abhi ho jaen

jaane phir koi zarurat bhi rahe ya na rahe
jin ko hona hai wo gham-khwar abhi ho jaen

koi taswir saja lega to koi tahrir
kyun na hum naqsh-ba-diwar abhi ho jaen

zindagi khud ko bachana hai ki jaan dena hai
faisle ye bhi hain ki war abhi ho jaen

ek lamhe mein badal sakte hain haalat 'sahar'
aap agar shamil-e-darbar abhi ho jaen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close