mata-e-dard ka khugar meri talash mein hai kisi ka bheja payambar meri talash mein hai hun main hi nuqta-e-aghaz ikhtitam-e-hisar har ek hisar ka mehwar meri talash mein hai mili hai auj khudi ko yaqin-e-mohkam se suna hai marzi-e-dawar meri talash mein hai wo ek sai jise kahte hain hum sabhi idrak wo mere jism ke andar meri talash mein hai sabhi to dost hain kyun shak abas hua mujh ko kisi ke hath ka patthar meri talash mein hai mere khuda main hun tujh se panah ka talib mere gunahon ka lashkar meri talash mein hai mere hi lams se ghunchon ne pai shadabi chaman mein khilta gul-e-tar meri talash mein hai kahin se sun liya hai meri pyas ka charcha tabhi se pyasa samundar meri talash mein hai laga hai sochne ahd-e-rawan ka 'marhab' bhi bachunga kis tarah 'haidar' meri talash mein hai