matam-e-ranj-o-alam gham hain baham chaaron ek

matam-e-ranj-o-alam gham hain baham chaaron ek
sitam-o-jaur-jafa naz-o-sanam chaaron ek

jab atakta hai jo dil kuchh nahin chhode baqi
nang-o-namus haya aur sharam chaaron ek

ishq-bazan ke tain ishq mein tere ai yar
masjid-o-madrasa-o-dair-o-haram chaaron ek

farq hargiz nahin jo tujh se milawe aankhen
tir aur khanjar-o-jamdhar ke zakham chaaron ek

zulf jun mar-e-siyah qad jo darakht-e-chandan
aaj dekh aae hain is taur se hum chaaron ek

yar aur aashiq-o-saqi-o-sharab-o-sabza
dekhta hai koi yak jae pe kam chaaron ek

bhul jate hain sabhi bazm mein mah-ruyon ki
aql-o-danish-o-tamiz aur faham chaaron ek

hun tera ai sanama is waza se farman-bardar
sarban-o-nafar-o-banda khadam chaaron ek

ghair waslat ke tere aur na khwahish apni
kya tala nuqra-o-dinar-o-diram chaaron ek

uth gaya qaum se ashraf ke haihat afsos
ishrat-o-aish kahan jah-o-hasham chaaron ek

raushnai-o-zaban tohfa kare qissa bayan
jis ghadi hote hain kaghaz-o-qalam chaaron ek

bhul ja shauq mein waslat ke tu sab ko ai dil
dozakh-o-jannat o aaraf o adam chaaron ek

waste tere muqarrar hain dil andesha na kar
mehrbani-o-ata fazl-o-karam chaaron ek

hai shujaat wa sakha hilm-o-haya 'qasim-ali'
shan mein sher-e-khuda ke hain khatam chaaron ek


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close