mauqa-e-yas kabhi teri nazar ne na diya

mauqa-e-yas kabhi teri nazar ne na diya
shart jine ki laga di mujhe marne na diya

kam se kam main gham-e-duniya ko bhula sakta tha
par teri yaad ne ye kaam bhi karne na diya

teri gham-khwar nigahon ke tasadduq ki mujhe
gham-e-hasti ki bulandi se utarne na diya

wo teri surkhi-e-ariz ki qarib aa na saki
rang jis fikr ko bhi khun-e-jigar ne na diya

husn-e-ham-dard tera ham-safar-e-shauq raha
mujh ko tanha kisi manzil se guzarne na diya

kitni khush-zauq hai teri nigah-e-baada-farosh
khali rahne na diya jam ko bharne na diya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close