mausam badla rut gadrai ahl-e-junun bebak hue

mausam badla rut gadrai ahl-e-junun bebak hue
fasl-e-bahaar ke aate aate kitne gireban chaak hue

gul-buton ke rang aur naqshe ab to yunhi mit jaenge
hum ki farogh-e-subh-e-chaman the paband-e-fitrak hue

mohr-e-taghayyur is dhaj se aafaq ke mathe par chamka
sadiyon ke uftada zarre ham-dosh-e-aflak hue

dil ke gham ne dard-e-jahan se mil ke bada bechain kiya
pahle palken pur-nam thin ab aariz bhi namnak hue

kitne alhad sapne the jo dur sahar mein tut gae
kitne hansmukh chehre fasl-e-bahaaran mein ghamnak hue

barq-e-zamana dur thi lekin mishal-e-khana dur na thi
hum to 'zahir' apne hi ghar ki aag mein jal kar khak hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close