mausam-e-gul mein koi kab hosh-mandana chala

mausam-e-gul mein koi kab hosh-mandana chala
phul dekhe jis ne kanton mein wo diwana chala

ek hi manzil pe har rahi ko jaana tha magar
zoam-e-baatil mein chala jo bhi judagana chala

us ke har ek gam par thi kaamrani sath sath
kargah-e-dahr mein jo sarfaroshana chala

waizan-e-kam-nazar hain dushman-e-tamkin-e-hosh
mit gaya wo in ki baaton par jo diwana chala

mai-kade mein ranj-o-gham kaisa kahan ki mushkilen
har khalish jati rahi jab daur-e-paimana chala

aafrin sad aafrin ye himmat zauq-e-talab
shama ke jalte hi jal marne ko parwana chala

koi asrar mashiyyat ho na paya aashkar
be-khabar aaya tha 'kashfi' aur begana chala


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close