mausam ka haal aankh ki khiDki bataegi

mausam ka haal aankh ki khidki bataegi
din dhal gaya hai sham ki surkhi bataegi

murjha gae jo shakh-e-ajal par khile gulab
ras ud gaya hai sans ki titli bataegi

aankhon pe e'tibar na kar fasla to dekh
dariya ke par kya hai ye kashti bataegi

diwar par shabih banaengi ungliyan
kam raushni fareb ko panchhi bataegi

la-hasili ki san pe azalon ke majare
sadiyon ki dastan bhi chutki bataegi

apni hansi ko haal ka paimana kijiye
jitni khushi hai nap ke utni bataegi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close