maut aaegi jo ruswai ka saman hoga

maut aaegi jo ruswai ka saman hoga
chaak dil hoga agar chaak gareban hoga

dil ko bahlata hun ye kah ke teri furqat mein
parda-e-ghaib se khud wasl ka saman hoga

hashr mein dekhenge rahmat ka tamasha zahid
jab khatawar khataon pe pasheman hoga

malak-ul-maut ko bhi sath gul apne lana
mujh pe ehsan tera ai shab-e-hijran hoga

rahnumai rah-e-ulfat mein jo ai khizr kare
wo farishta to nahin mujh sa hi insan hoga

hum na kahte the ki hai hosh-ruba husn tera
aaina dekh na tu dekh ke hairan hoga

mujh se kahti hai shab-e-wasl pareshan-nazari
aap ke dil mein bhi shayad koi arman hoga

ku-e-jaanan ki hawas tujh ko bahut hai ai 'shad'
khak ke zarron ki manind pareshan hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close