maut hai aur maut ke KHadshat hain

maut hai aur maut ke khadshat hain
sansani hai an-dikhe khadshat hain

khauf phaila hai waba ke rup mein
qarya qarya pal rahe khadshat hain

gar koi tiryaq hai wo hai yaqin
zahr ki surat liye khadshat hain

is sadi ke aadmi to hain khuda
tu ne hi paida kiye khadshat hain

daera dar daera tashkik hai
be-tarah phaile hue khadshat hain

tujh mein himmat hai to in ko mat de
ai nae insan nae khadshat hain

wo gali ke mod par hai muntazir
dar raha hun main mere khadshat hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close