mayus-e-azal hun ye mana nakaam-e-tamanna rahna hai

mayus-e-azal hun ye mana nakaam-e-tamanna rahna hai
jate ho kahan rukh pher ke tum mujh ko to abhi kuchh kahna hai

khinchenge wahan phir sard aahen aankhon se lahu phir bahna hai
afsana kaha tha jo hum ne dohra ke wahin tak kahna hai

dushwar bahut ye manzil thi mar mit ke tah-e-turbat pahunche
har qaid se hum aazad hue duniya se alag ab rahna hai

rakhta hai qadam is kucha mein zarre hain qayamat-za jis ke
anjam-e-wafa hai nazron mein aaghaz hi se dukh sahna hai

ai paik-e-ajal tere hathon aazad-e-talluq ruh hui
ta-hashr badal sakta hi nahin hum ne wo libas ab pahna hai

ai girya-e-khun tasir dikha ai josh-e-fughan kuchh himmat kar
rangin ho kisi ka daman bhi ashkon ka yahan tak bahna hai

apna hi sawal ai 'dil' hai jawab is bazm mein aakhir kya kahiye
kahna hai wahi jo sunna hai sunna hai wahi jo kahna hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close