maza jab hai use barq-e-tajalla dekhne wale

maza jab hai use barq-e-tajalla dekhne wale
jamal-e-yar mein tahlil ho ja dekhne wale

nazar aati tujhe har khak ke zarre mein ek duniya
nigah-e-ghaur se tu ne na dekha dekhne wale

tujhe nazdik se bhi ek din wo dekh hi lenge
tasawwur mein tera husn-e-dil-ara dekhne wale

khabar bhi hai tujhe kuchh ye tamasha-gah-e-alam hai
tamasha khud na ban jaana tamasha dekhne wale

harim-e-tur ka 'simab' jab uthne laga parda
nida ye ghaib se aai sambhal ja dekhne wale


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close