mazaq-e-ishq se main sharmsar ho na saka

mazaq-e-ishq se main sharmsar ho na saka
ki raazdan bhi mera raazdar ho na saka

nazar se zarron ko ulta galon ko chaak kiya
magar main sar-khush-e-didar-e-yar ho na saka

shabab-o-ishq ki kul umr ek lamha thi
mujhe ye lamha magar sazgar ho na saka

baja-e-khud meri hasti ko kar diya uryan
wo parda-dar mera parda-dar ho na saka

wo kis bharosa par ummid-war ho tera
teri nazar pe jise eatibar ho na saka

mulahiza ho mohabbat ka zauq-e-nazzara
jo aashkar tha wo aashkar ho na saka

mera maal bhi hota chaman sa ibrat-nak
junun ka shukr ki waqf-e-bahaar ho na saka

nigah-e-mast ka mamnun-e-kaif hun 'makhmur'
ki pi to khub magar baada-khwar ho na saka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close