mazid kuchh nahin bola main ho gaya KHamosh

mazid kuchh nahin bola main ho gaya khamosh
is ehtimam se us ne mujhe kaha khamosh

ab aise haal mein kya khak guftugu hogi
ki ek soch mein gum hai to dusra khamosh

so yun hua ki laga qufl nutq-o-lab pe mere
main tum se mil ke bahut der tak raha khamosh

jab ehtimam se raunda gaya wajud mera
to samne wo khada tha gurez-pa khamosh

main jaanta hun meri sar-kashidgi ka sabab
so mujh se baat na kar mere naseha khamosh

samaaton mein nai gunj kis ne rakkhi hai
ki har taraf se uthi ek hi sada khamosh

main ek dasht-e-tamanna mein nim zinda hun
hawas-bakhta ghayal barahna-pa khamosh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close