mehnat-o-dard-o-ranj-o-gham aur alam ye raat din karte hain mujh ko khwar-o-zar ek do tin chaar panch nala-o-girya aah-o-ashk aur fughan tere baghair mere hue hain dost-dar ek do tin chaar panch ishwa nigah ada-o-naz aur hai ghamza ham-rikab sath hain tere shahsawar ek do tin chaar panch