mera haal puchh ke ham-nashin mere soz-e-dil ko hawa na de bas yahi dua main karun hun ab ki ye gham kisi ko khuda na de ye jo zakhm-e-dil ko pakae hum liye phir rahe hain chhupae hum koi na-shanas-e-mizaj-e-gham kahin hath us ko laga na de tu jahan se aaj hai nukta-chin kabhi muddaton mein raha wahin main gada-e-rahguzar nahin mujhe dur hi se sada na de tab-o-tab-e-ishq ka hai karam ki jami hai mahfil-e-chashm-e-nam zara dekhiyo ai hawa-e-gham ye charagh koi bujha na de wo jo shairi ka sabab hua wo moamla bhi ajab hua main ghazal sunaun hun is liye ki zamana us ko bhala na de