mera raaz-e-dil aashkara nahin wo dariya hun jis ka kinara nahin wo gul hun juda sab se hai jis ka rang wo bu hun ki jo aashkara nahin wo pani hun shirin nahin jis mein shor wo aatish hun jis mein sharara nahin bahut zal-e-duniya ne din baziyan main wo naujawan hun jo haara nahin jahannam se hum be-qararon ko kya jo aatish pe thahre wo para nahin faqiron ki majlis hai sab se juda amiron ka yan tak guzara nahin sikandar ki khatir bhi hai sadd-e-bab jo dara bhi ho to madara nahin kisi ne teri tarah se ai 'anis' urus-e-sukhan ko sanwara nahin