mera wajud usi ki visal-gah mein tha

mera wajud usi ki visal-gah mein tha
usi ka wird mere dil ki khanqah mein tha

tumhaare qaul-o-qasam par fareb kya khata
tumhaara tarz-e-amal bhi meri nigah mein tha

huruf-e-makr tere lab pe the magar zalim
mujhe fareb bhi khana wafa ki rah mein tha

tamam sang-dili ya ki phir ghurur-o-hasham
kuchh aur us ke siwa bhi jahan-panah mein tha

tapak ke dida-e-nam se sadaen deta hai
jo ek harf-e-tamanna dil-e-tabah mein tha

mujhe to ras ai 'khalid' yahi zamin aai
ye aur baat mera zikr mehr-o-mah mein tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close