mere dil ne di hai tujhe sada main kai dinon se udas hun

mere dil ne di hai tujhe sada main kai dinon se udas hun
tu kai dinon se nahin mila main kai dinon se udas hun

dil-e-muztarib mere pas tha mujhe gham azal se hi ras tha
main kai dinon se udas tha main kai dinon se udas hun

wo utha to zauq-e-talab utha mere dil se rang-e-tarab utha
ye khizan ke din mere rab utha main kai dinon se udas hun

tu riyaz-e-hast se phul chun mere dil mein ab fana ki dhun
mujhe tujh se hona hai ab juda main kai dinon se udas hun

wo jo aarzu ki rafiq ho jo rafiq-e-dard-e-amiq ho
mujhe de de aisi koi dawa main kai dinon se udas hun

tu mere mizaj ka phul hai tu nahin to aankh fuzul hai
tu nazar ki jhil mein jhilmila main kai dinon se udas hun

jahan ab hai malba pada hua yahan pahle koi nagar bhi tha
mera ghar nahin mujhe mil raha main kai dinon se udas hun

meri aankh husn-parast hai mere gird sham ka dasht hai
koi taq-e-dil mein jala diya main kai dinon se udas hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close