mere guman ki had se nikalne wala tha

mere guman ki had se nikalne wala tha
wo mujh se pahle hi rasta badalne wala tha

tujhe hi jaane ki ujlat thi ai musafir-e-man
wagarna main bhi tere sath chalne wala tha

jahan pe qafila-e-salar thak ke baith gaya
wahin se ek naya rasta nikalne wala tha

nahin thi mujh ko zarurat kisi sahaare ki
ki main to aap hi gir kar sambhalne wala tha

main laut aaya samundar se dar ke jab 'faizan'
usi ghadi wo khazana ugalne wala tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close