mere har ek sans mein shirkat hai aah ki

mere har ek sans mein shirkat hai aah ki
khae hue hun chot tumhaari nigah ki

kya rukh badal badal ke mujh aashufta-haal par
parchhaiyan padin teri zulf-e-siyah ki

badhti gai gunah ki lazzat gunah mein
padti gai gunah se aadat gunah ki

sab kuchh nibahna hai bahut sahl aaj-kal
yani nibah shart nahin hai nibah ki

anjam aashkar hai mujh gham-nasib ka
li hai panah tere gham-e-be-panah ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close