mere kashkol mein bas sikka-e-rad hai had hai

mere kashkol mein bas sikka-e-rad hai had hai
phir bhi ye dil mera raazi-ba-madad hai had hai

gham to hain bakht ke bazar mein maujud bahut
kasa-e-jism mein dil ek adad hai had hai

aaj ke daur ka insan ajab hai yarab
lab pe tarif hai sine mein hasad hai had hai

tha meri pusht pe suraj to ye ehsas hua
mujh se uncha to mere sae ka qad hai had hai

mustanad moatamad-e-dil nahin ab koi yahan
mahram-e-raaz bhi mahrum-e-sanad hai had hai

main to taswir-e-junun ban gaya hota lekin
mujh ko roke hue bas pas-e-khirad hai had hai

roz-e-awwal hi mein har had se guzar baitha aur
chikhta rah gaya hamdam mera had hai had hai

kab talak khak-basar bhatke bhala baad-e-saba
ab to har shakh pe phulon ki lahad hai had hai

rang-e-ikhlas bharun kaise marasim mein 'nadim'
us ki niyyat bhi meri tarah se bad hai had hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close