mere khwabon se ojhal us ka chehra ho gaya hai main aisa chahta kab tha par aisa ho gaya hai talluq ab yahan kam hai mulaqaten ziyaada hujum-e-shahr mein har shakhs tanha ho gaya hai teri takmil ki khwahish to puri ho na pai magar ek shakhs mujh mein bhi adhura ho gaya hai jo bagh-e-arzu tha ab wahi hai dasht-e-wahshat ye dil kya hone wala tha magar kya ho gaya hai main samjha tha siyegi aagahi chaak-e-junun ko magar ye zakhm to pahle se gahra ho gaya hai main tujh se sath bhi to umr-bhar ka chahta tha so ab tujh se gila bhi umr-bhar ka ho gaya hai tere aane se aaya kaun sa aisa taghayyur faqat tark-e-marasim ka mudawa ho gaya hai mera aalam agar puchhen to un se arz karna ki jaisa aap farmate the waisa ho gaya hai main kya tha aur kya hun aur kya hona hai mujh ko mera hona to jaise ek tamasha ho gaya hai yaqinan hum ne aapas mein koi wada kiya tha magar us guftugu ko ek arsa ho gaya hai agarche dastaras mein aagahi hai sari duniya magar dil ki taraf bhi ek dar wa ho gaya hai ye bechaini hamesha se meri fitrat hai lekin ba-qadr-e-umr is mein kuchh izafa ho gaya hai mujhe har subh yaad aati hai bachpan ki wo aawaz chalo 'irfan' uth jao sawera ho gaya hai