mere liye tera hona aham ziyaada hai

mere liye tera hona aham ziyaada hai
ye baqi zikr-e-wajud-o-adam ziyaada hai

wo khali-pan hai kahin kuchh kashish nahin hai mujhe
koi khushi hai bahut aur na gham ziyaada hai

tere baghair zarurat hi kiya padi hai mujhe
tere baghair ye dam hai so dam ziyaada hai

ye meri aankh hai yan khwab kaise thahrenge
ki sim-khurda zamin hai jo nam ziyaada hai

mera ye dil ki jise koi pech-o-tab nahin
teri ye zulf jise pech-o-kham ziyaada hai

tu khub jaanta hai yar-e-be-niyaz ki ab
junun bahut hai mujhe phir bhi kam ziyaada hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close