mere parwane ko ab muzhda-e-mayusi hai

mere parwane ko ab muzhda-e-mayusi hai
kyunki wo parda-nashin shoala-e-fanusi hai

saqiya dast-e-nigarin se tere mina mein
hum jo karte hain nazar jalwa-e-tausi hai

jam-e-labrez chahakta hai yad-e-baiza sa
yar ke hath mein kya moajaza-e-musi hai

marti us gul pe hai bikta hai jo kaudi kaudi
tujh pe marti nahin bulbul bhi kuchh ullu si hai

ai sanam nala o afghan se mere sham o sahar
dil ke but-khane mein ab naghma-e-naqusi hai

dasht mein chal ki har ek khar-e-bayaban ko 'nisar'
jun hina kab se tamanna-e-qadam-bosi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close