mere riyaz ka aakhir asar dikhai diya chhupa tha dil mein jo naghma mujhe sunai diya jahan-shanas o khud-agah kar diya mujh ko mere shuur ne wo dard-e-ashnai diya jo pa liya tujhe main khud ko dhundne nikla tumhaare qurb ne bhi zakhm-e-na-rasai diya abhi to tod thake bazuon ki patwaren wo dur ufuq pe koi baadban dikhai diya zamane bit gae dasht dasht phirne ke nae shuur ne hum ko safar khalai diya