mere rog ka na malal kar mere chaara-gar

mere rog ka na malal kar mere chaara-gar
main bada hua use pal kar mere chaara-gar

sabhi dard chun mere jism se kisi ism se
mera ang ang bahaal kar mere chaara-gar

mujhe si de sozan-e-dard rishta-e-zard se
mujhe zabt-e-gham se bahaal kar mere chaara-gar

mujhe chir nashtar-e-ishq soz-e-sarishk se
mera indimal-e-muhaal kar mere chaara-gar

ye badan ke aarzi ghaw hain unhen chhod de
mere zakhm-e-dil ka khayal kar mere chaara-gar

faqat ek qatra-e-ashk mera ilaj hai
mujhe mubtala-e-malal kar mere chaara-gar

mein jahan dard mein kho gaya tujhe kya mila
mujhe imtihan mein dal kar mere chaara-gar

mujhe apne zakhm ki khud bhi koi khabar nahin
so na mujh se koi sawal kar mere chaara-gar

tera haal dekh ke roega tera chaara-gar
mera dil na dekh nikal kar mere chaara-gar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close