mere rone par kisi ki chashm giryan hae hae

mere rone par kisi ki chashm giryan hae hae
wo gul-e-tar wo faza-e-shabnamistan hae hae

wo kisi ki yaad-e-paiham sham-e-hijran hae hae
har nafas waqf-e-nawa-ha-e-pareshan hae hae

dil pe dard-e-ishq ka ek ek ehsan hae hae
jaan ki surat mein koi dushman-e-jaan hae hae

subh-e-hijran bad-tar-az-shab-ha-e-hijran hae hae
zindagi ek mustaqil khwab-e-pareshan hae hae

dil ki rahat ke liye un ki mohabbat ke liye
koshish-e-be-sud phirta hadd-e-imkan hae hae

meri khatir aur wo majburiyon ka e'tiraf
un ke nazuk dil ko bhi ehsas-e-hijran hae hae

kaifiyat-e-sajda-e-zauq-e-mohabbat al-aman
kaba-e-dil be-niyaz-e-kufr-o-iman hae hae

wo mera kaif-e-nazar wo be-khudi wo sarkhushi
fursat-e-nazzara-ha-e-husn-e-jaanan hae hae

un ki mahfil mein bhi hun daman-kash-e-wahshat-ba-dil
har jagah ek aalam-e-adab-e-zindan hae hae

yas ki maujon mein har manzar ka aakhir dubna
dil se wo uthta hua tufan-e-hirman hae hae

jo na samjhen dard kya hai dard ka ehsas kya
kab tak un ke waste 'basit' ghazal-khwan hae hae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close