mere siwa bhi koi giraftar mujh mein hai

mere siwa bhi koi giraftar mujh mein hai
ya phir mera wajud hi bezar mujh mein hai

meri ghazal kisi ke takallum ki bazgasht
ek yar-e-khush-kalam-o-tarah-dar mujh mein hai

had hai ki tu na meri aziyyat samajh saka
shayad koi bala ka adakar mujh mein hai

jis ka wajud waqt se pahle ki baat hai
wo bhi adam se barsar-e-paikar mujh mein hai

tu hai ki teri zat ka iqrar har-nafas
main hun ki meri zat ka inkar mujh mein hai

tujh se na kuchh kaha to kisi se na kuchh kaha
kitni shadid khwahish-e-izhaar mujh mein hai

main kya hun kaenat mein kuchh bhi nahin hun main
phir kyun isi sawal ki takrar mujh mein hai

jis din se main visal ki aasudgi mein hun
us din se wo firaq se do-chaar mujh mein hai

main hun ki ek pal ki bhi fursat nahin mujhe
wo hai ki ek umr se be-kar mujh mein hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close