mere sukun ki duniya mein iztirar nahin

mere sukun ki duniya mein iztirar nahin
nahin nahin mujhe ab tera intizar nahin

wo bewafai ke qail main jaan-nisari ka
kisi ko apni tabiat pe ikhtiyar nahin

samajh sake koi kya mere zarf-e-ali ko
piye hain mai-kade lekin zara khumar nahin

teri nigah se gir kar yaqin hua mujh ko
jahan mein koi kisi ka bhi gham-gusar nahin

mere khafif tabassum pe bhulne walo
main kaamgar nahin hun main kaamgar nahin

hain dil se tark-e-mohabbat ke mashware lekin
tumhein bhula bhi sakunga ye e'tibar nahin

muamle mein mohabbat ke bad-guman hun 'raj
wo kya hain mujh ko khuda ka bhi e'tibar nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close