meri basti mein jo suraj kabhi utra hota

meri basti mein jo suraj kabhi utra hota
main badan hota tera to mera saya hota

kis ki be-mehr ada se hamein shikwa hota
hum kisi ke na hue kaun hamara hota

jaan par khel ke main rah-e-wafa tai karta
us ki jaanib se magar kuchh to ishaara hota

dil ka ehsan hai jo bujh gaya khud hi warna
jaane main kis ko kahan dhundne nikla hota

us ko pane ki to hasrat hai use pa kar bhi
kis ko malum hai dil yun hi akela hota

dur se khinchta rahta hai jo taswir meri
kash us ne kabhi nazdik se dekha hota

sun ke yaron ke alam sochta rahta hun ki main
kaise jita jo tera pyar bhi jhuta hota

mere aibon mein hai shamil meri majburi bhi
main bhi insan na hota to farishta hota

tum na aae kabhi nazdik to achchha hi kya
log nadan hain yunhi shahr mein charcha hota

duniya-dari mein pade hote jo tum bhi 'anjum'
dil bhi khush rahta sada nam bhi uncha hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close