meri chahaton ke sawal par koi muskura ke chala gaya

meri chahaton ke sawal par koi muskura ke chala gaya
mujhe phir se mausam-e-wasl ka wo hasin khwab dikha gaya

dil-e-mezban mein ranj ka yahi muddaton se hai silsila
koi din mein aa ke thahar gaya koi raat rah ke chala gaya

wo milan ki awwalin saaten wo kisi ka lams inayaten
kabhi wo khumar se tar hua kabhi mujh pe nashsha sa chha gaya

yahi soch kar to main dang tha bhala main bhi kya koi sang tha
ki wo kar-e-khair samajh ke yun mujhe raste se hata gaya

gham-e-ashiqi ho tera bhala tujhe yaad rakkhunga main sada
isi ek nam-e-wafa pe bas mujhe bar bar chhala gaya

jinhen rakkha main ne sambhaal kar jo the jaan se bhi aziz-tar
kabhi sail-e-ashk tha josh par wo unhi khaton ko gala gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close