han abhi kuchh der pahle sher ki gunji thi dhaD

han abhi kuchh der pahle sher ki gunji thi dhad
ab to sannata hai shayad ho chuki ho chir-phad

jism se pahra hata ye khurduri khaalen udhed
khun ki jhadu se phir in haddiyon ki gard jhad

zehan mein jab koi shirin ka tasawwur aa gaya
sar pe teshon ko uthae daudte aae pahad

wahshaten tarikiyan ruswaiyan barbaadiyan
hae ummidon ki basti aur phir itni ujad

justuju ki dhup mein jo chalte chalte mar gae
un ki lashon ko utha kar nim ke sae mein gad

raat bhar thande thapede dastaken dete rahe
subh tak jage na the soe hue tere kiwad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close