meri har baat par wo KHafa sa lage

meri har baat par wo khafa sa lage
saf-goi ka us ko bura sa lage

sans lete hain hum kaise mahaul mein
jo bhi manzar hai wo karbala sa lage

kis ne mausam ko sikhlai aisi ada
kabhi khush aur kabhi ye khafa sa lage

jis ki nas nas mein shamil hain kadwahaten
wo hi dard ki kyun dawa sa lage

jab bhi milta hai khamosh rahta hai wo
us ki aankhon mein lekin gila sa lage


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close