meri hasti faza-e-hairat aabaad-e-tamanna hai

meri hasti faza-e-hairat aabaad-e-tamanna hai
jise kahte hain nala wo usi aalam ka anqa hai

khizan kya fasl-e-gul kahte hain kis ko koi mausam ho
wahi hum hain qafas hai aur matam baal-o-par ka hai

wafa-e-dilbaran hai ittifaqi warna ai hamdam
asar fariyaad-e-dil-ha-e-hazin ka kis ne dekha hai

na lai shokhi-e-andesha tab-e-ranj-e-naumidi
kaf-e-afsos milna ahd-e-tajdid-e-tamanna hai

na sowe aablon mein gar sirishk-e-dida-e-nam se
ba-jaulan-gah-e-naumidi nigah-e-ajizan pa hai

ba-sakhti-ha-e-qaid-e-zindagi malum aazadi
sharar bhi said-e-dam-e-rishta-e-rag-ha-e-khara hai

taghaful-mashrabi se na-tamami bas-ki paida hai
nigah-e-naz chashm-e-yar mein zunnar-e-mina hai

tasarruf wahshiyon mein hai tasawwur-ha-e-majnun ka
sawad-e-chashm-e-ahu aks-e-khal-e-ru-e-laila hai

mohabbat tarz-e-paiwand-e-nihaal-e-dosti jaane
dawidan resha san muft-e-rag-e-khwab-e-zulekha hai

kiya yak-sar gudaz-e-dil niyaz-e-joshish-e-hasrat
suwaida nuskha-e-tah-bandi-e-dagh-e-tamanna hai

hujum-e-rezish-e-khun ke sabab rang ud nahin sakta
hina-e-panja-e-saiyyaad murgh-e-rishta bar-pa hai

asar soz-e-mohabbat ka qayamat be-muhaba hai
ki rag se sang mein tukhm-e-sharar ka resha paida hai

nihan hai gauhar-e-maqsud jeb-e-khud-shanasi mein
ki yan ghawwas hai timsal aur aaina dariya hai

azizo zikr-e-wasl-e-ghair se mujh ko na bahlao
ki yan afsun-e-khwab afsana-e-khwab-e-zulaikha hai

tasawwur bahr-e-taskin-e-tapidan-ha-e-tifl-e-dil
ba-bagh-e-rang-ha-e-rafta gul-chin-e-tamasha hai

ba-sai-e-ghair hai qat-e-libas-e-khana-virani
ki naz-e-jada-e-rah rishta-e-daman-e-sahra hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close