meri imlak samajh be-sar-o-samani ko

meri imlak samajh be-sar-o-samani ko
ek muddat se main lahaq hun pareshani ko

ab ye mamul ke gham mujh ko rulane se rahe
sanehe chahiyen ashkon ki farawani ko

laut aaegi jo aflak se fariyaad meri
kaun bakhshega sanad meri sana-khwani ko

pesh-e-manzar bhi wahi tha jo pas-e-zat raha
gham ki miras mili aankh ki hairani ko

sina sad-chaak karo dil se na aghraaz karo
qaid rahne do abhi dasht mein zindani ko

maut bhi dekh ke angusht-ba-dandan hai 'ali'
marqad-e-zist se lipti hui virani ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close