meri jaan judai na hogi to hogi

meri jaan judai na hogi to hogi
kisi din ladai na hogi to hogi

unhen sharm hai aur yahan shauq-e-behad
agar hatha-pai na hogi to hogi

nahin itni jurat ki qadmon pe girye
ki un se safai na hogi to hogi

zara jazba-e-dil madad kar khudara
jo un tak rasai na hogi to hogi

na kuchh husn o khubi mein farq aaya hoga
ye daulat lutai na hogi to hogi

rihai asir-e-mohabbat ko tere
agar maut aai na hogi to hogi

nae zulm ijad karte raho tum
jahan mein duhai na hogi to hogi

nahin bak ghairon se milne mein un ko
jo dil mein burai na hogi to hogi

har ek baat par aafrin jab kahen sab
to phir khud-satai na hogi to hogi

mohabbat ki jo aankh thi aage teri
jo tu ne churai na hogi to hogi

mohabbat ka gar khul gaya haal un par
to 'anjum' rukhai na hogi to hogi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close