meri jaan par ye patthar is liye bhaari ziyaada hai mohabbat kam tere lahje mein gham-khwari ziyaada hai ye sab se mukhtasar rasta hai is wadi mein jaane ka magar is par safar karne mein dushwari ziyaada hai hum apni rah mein diwar ban jate hain khud aksar hamara masala ye hai ki khuddari ziyaada hai mohabbat ke qarib aaya to andaza hua mujh ko ki dilkash ghar se ghar ki chaar diwari ziyaada hai abhi ye bahs 'nadir' waqt ki chaukhat pe rakhte hain ye kal dekhenge kis ka kaam meyari ziyaada hai