meri khak us ne bikher di sar-e-rah ghubar bana diya main jab aa saka na shumar mein mujhe be-shumar bana diya tera naqsh utra sar-e-waraq to tasarruf-e-lab-o-chashm se bhare rang main ne kuchh is tarah ise shahkar bana diya tere juzw juzw khayal ko rag-e-jaan mein pura utar kar wo jo bar bar ki shakl thi use ek bar bana diya mujhe nang-e-naqsh hi kab kiya bharin us ne aisi siyahiyan ki mere hi kucha o shahr mein mujhe ishtihaar bana diya ye nahin ki us ne durida-tan sar-e-nakhl-e-khar piro diya meri dhajjiyon ko bhi khinch kar mujhe tar tar bana diya