meri man ne mujh ko janam jab diya tha main lashon ke ambar par ja gira tha jahan par tumhaari rida chhin gai thi wahin par hamara bhi bazu kata tha yahin par use jaan dene ki zid thi yahin se wo parcham uthae chala tha mujhe sat chehron ki surat mili thi tazabzub mein har ek mujhe dekhta tha main logon ki is bhid mein sochta hun mera nam kya hai mera nam kya tha