meri mushkil agar aasan bana dete to achchha tha

meri mushkil agar aasan bana dete to achchha tha
labon se lab dam-e-akhir mila dete to achchha tha

main ji sakta tha bas teri zara si ek inayat se
mere hathon mein hath apna thama dete to achchha tha

meri betab dhadkan ko bhi aa jata qarar aakhir
mere khwabon ki duniya ko saja dete to achchha tha

tumhaari be-rukhi par dil mera bechain rahta tha
kabhi aadat ye tum apni bhula dete to achchha tha

kabhi is jald-bazi ka samar achchha nahin hota
koi din aur chahat mein bita dete to achchha tha

'safi' aansu bhi dushman ban gae hain dekh le aakhir
na in ko zabt karte tum baha dete to achchha tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close