meri ragon mein jo ek iztirab hai kya hai lahu hai raushni hai inqalab hai kya hai yahi sila hai teri mehnaton ka mehnat-kash teri jabin pe jo ye aaftab hai kya hai khirad ulajhti rahi aur khula na raaz-e-hayat azab hai ki ye neamat hai khwab hai kya hai khulus lafzon mein kyon hai dilon mein kyon hai fareb kisi ke pas kuchh is ka jawab hai kya hai nahin sharar to hai phir kaun mojid-e-atish kaho 'sharar' ka koi sadd-e-bab hai kya hai