meri sifat ka jab us ne e'tiraf kiya bajae chehra ke aaina main ne saf kiya chhupa tha hira koi raste ke patthar mein hamari thokaron ne is ka inkishaf kiya muwafaqat mein chali thi mere safine ki hawa ne bich samundar mein ikhtilaf kiya guhar bana ke sadaf ne use nikala hai kabhi jo bund ne dariya se inhiraf kiya zamin ghumti hai jaise apne mehwar par khud apni zat ka main ne yun hi tawaf kiya