meri wafa ki wo pahchan bhi nahin rakhte

meri wafa ki wo pahchan bhi nahin rakhte
sila to dur hai ehsan bhi nahin rakhte

wo barkaton ke farishton ke intizar mein hain
gharon mein apne jo quran bhi nahin rakhte

jinhen khulus ki khushbu aziz hoti hai
wo apni mez pe gul-dan bhi nahin rakhte

wo hadson se daraate hain apne bachchon ko
diyon ke samne tufan bhi nahin rakhte

bade ajib musafir hain hum bhi ai 'hafiz'
safar pe nikle hain saman bhi nahin rakhte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close