meri zindagi pe na muskura mujhe zindagi ka alam nahin jise tere gham se ho wasta wo khizan bahaar se kam nahin mera kufr hasil-e-zohd hai mera zohd hasil-e-kufr hai meri bandagi wo hai bandagi jo rahin-e-dair-o-haram nahin mujhe ras aaen khuda kare yahi ishtibah ki saaten unhen aitabar-e-wafa to hai mujhe aitabar-e-sitam nahin wahi karwan wahi raste wahi zindagi wahi marhale magar apne apne maqam par kabhi tum nahin kabhi hum nahin na wo shan-e-jabr-e-shabab hai na wo rang-e-qahr-e-itab hai dil-e-be-qarar pe in dinon hai sitam yahi ki sitam nahin na fana meri na baqa meri mujhe ai 'shakil' na dhundhiye main kisi ka husn-e-khayal hun mera kuchh wajud o adam nahin
Please share if you liked this!!!