mez qalam qirtas daricha sannaTa

mez qalam qirtas daricha sannata
kamra khidki zard ujala sannata

meri aankhon mein dhundlai gahri chup
aur chehre par utra pila sannata

meri aankhon mein likkhi tahrir padho
hijr tamanna wahshat sahra sannata

gunj uthi hai mere andar khamoshi
nas nas mein ghut ghut kar bahta sannata

us ke sath chali aati thin qilqaren
us ke baad hua hai kitna sannata

pahle meri zat mein tha maujud koi
ab hai meri zat ka hissa sannata

jhag udate dariya ke hangame par
naqsh hua dil par afsurda sannata

main ne ghanton is ummid pe chup sadhi
shayad ki wo tod hi dega sannata

mil kar bain karen sab meri hijrat par
chand udasi jhil kinara sannata


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close