mil chuka mahfil mein ab lutf-e-shakebai mujhe

mil chuka mahfil mein ab lutf-e-shakebai mujhe
khinchti hai apni jaanib teri angdai mujhe

baad marne ke jo hasil hogi ruswai mujhe
zindagi kya soch kar duniya mein tu lai mujhe

ishq mein yun husn ki surat nazar aai mujhe
wo tamasha ban gae kah kar tamashai mujhe

khud pukar uthta junun takmil-e-wahshat ho gai
wo samajh lete jo dil mein apna saudai mujhe

ho gaya kohram barpa khana-e-sayyaad mein
baithe baithe aashiyan ki yaad jab aai mujhe

kal tha main kabe mein maujud aaj but-khane mein hun
chain deta hi nahin shauq jabin-sai mujhe

aaina bhi tha koi kya zindagi ka aaina
dekhne par maut ki surat nazar aai mujhe

zindagi ki kashmakash se dast-kash hona pada
naza mein yaad aa gai jab un ki angdai mujhe

khul gai chashm-e-basirat khak mein milne ke baad
dil ke har zarre mein ek duniya nazar aai mujhe

hazrat-e-'bismil' ye achchhi dil ko sujhi dil-lagi
kar diya shamshir-e-qatil ka tamannai mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close